nawed malik

har baat par na yun hamein ghussa karen huzur

nawed malik

har baat par na yuuñ hameñ ġhussa kareñ huzūr
kuchh bad-mizāj log haiñ dekhā kareñ huzūr
ik din havā ke ḳhauf se kahne lagā charāġh
merā yuuñ shā.irī meñ na charchā kareñ huzūr
jitnā junūñ hai jeb meñ bāhar nikāliye
bāzār hai ye ishq kā ḳharcha kareñ huzūr
ab siikh jaa.eñ aap un āñkhoñ kī bhī zabāñ
palkeñ jhukā.ūñ jab bhī to samjhā kareñ huzūr
itnā hasīn phuul aur us par ye barhamī
ham se ḳhatā huī hai to shikva kareñ huzūr
jhagḌā huā hai aaj sitāroñ kā chāñd se
bolā hai kitnī baar na chamkā kareñ huzūr
Top Urdushayar.com