qadmoñ meñ jab se mere haiñ taare dhare hue
saare adū haiñ ghar meñ bichāre dhare hue
achchhā to Thiik hai mujhe chalnā usī pe hai
rasta ki jis pe hoñge ḳhasāre dhare hue
taarī hai mauj mauj pe kuchh is liye bhī ḳhauf
aayā huuñ rauñd kar maiñ kināre dhare hue
ik jañg thī hamārī jise jītne ke ba.ad
palkoñ pe kyuuñ the us ke ishāre dhare hue
un se havā pe naqsh huī naġhmagī 'naved'
jitne bhī the charāġh hamāre dhare hue