vo kahte haiñ ki ham ko us ke marne par ta.ajjub hai
maiñ kahtā huuñ ki maiñ zinda rahā kyūñkar ta.ajjub hai
mirā afsāna-e-ishq ek aalam hai tahayyur kā
mujhe kah kar ta.ajjub hai unheñ sun kar ta.ajjub hai
mirī do-chār ummīdeñ bar aa.ī thiiñ javānī meñ
mire allāh itnī baat par mahshar ta.ajjub hai
hamīñ haiñ ishq ko jo shaġhl-e-bekārī samajhte haiñ
hamārī hī samajh par paḌ ga.e patthar ta.ajjub hai
vafādārī huī hai is tarah mafqūd duniyā se
ki ḳhud mujh ko yahāñ tak kar guzarne par ta.ajjub hai
mire ahbāb ko hairat hai maiñ ne aaj kyuuñ pī lī
nahīñ kyuuñ aaj tak pī thī mujhe is par ta.ajjub hai
'buḳhārī' tum javāñ ho aur javānī ek nashsha hai
tumhārī dāstān-e-ġham mujhe sun kar ta.ajjub hai