aatā hai nazar anjām ki saaqī raat guzarne vaalī hai
baaqī hai ḳhudā kā naam ki saaqī raat guzarne vaalī hai
ḳhurshīd ko jaam se sharmā.eñge shaam ko terā va.ada thā
īfā-e-ahd-e-shām ki saaqī raat guzarne vaalī hai
ham kitnī piine vaale haiñ tum kitnī pilāne vaale ho
ye raaz hai tasht-az-bām ki saaqī raat guzarne vaalī hai
ai rindo haath pe haath dhare kyā saaqī kā muñh takte ho
mahfil meñ mache kohrām ki saaqī raat guzarne vaalī hai
ye raah par aa hī jā.egā tū zāhid se māyūs na ho
uTh le ke ḳhudā kā naam ki saaqī raat guzarne vaalī hai
ye barham hone vaalī mahfil yuuñ bhī barham ho jaatī
ham kah ke hue badnām ki saaqī raat guzarne vaalī hai
ab koī nahīñ sannāTā hai tāroñ kī āñkheñ jhapkī haiñ
chal saath mire do-gām ki saaqī raat guzarne vaalī hai