tumhārī zulf kā har taar mohan
huā mere gale kā haar mohan
tasavvur kar tirā husn-e-araq-nāk
mirī āñkheñ haiñ gauhar-bār mohan
dam-e-āḳhir talak huuñ kāfir-e-ishq
huā tār-e-nafas zunnār mohan
birah kā jaan kundan hai nipaT saḳht
dikhā is vaqt par dīdār mohan
hamāre mus.haf-e-dil kī qasam khā
kiyā hai zulm kā inkār mohan
gul-e-āriz kuuñ tere yaad kar kar
huā hai dil mirā gulzār mohan
'sirāj' ātish meñ hai tere firāqoñ
bujhā jā mahr siiñ yak baar mohan