gum-karda-rāh ḳhāk-basar huuñ zarā Thahar
ai tez-rau ġhubār-e-safar huuñ zarā Thahar
raqs-e-numūd yak do nafas aur bhī sahī
dosh-e-havā pe misl-e-sharar huuñ zarā Thahar
apnā ḳhirām tez na kar ai nasīm-e-zīst
bujhne ko huuñ charāġh-e-sahar huuñ zarā Thahar
vo din qarīb hai ki meñ āñkhoñ ko muuñd luuñ
yaanī halāk-e-zauq-e-nazar huuñ zarā Thahar
ai dost merī talḳh-navā.ī pe tū na jā
shīrīñ misāl-e-ḳhvāb-e-sahar huuñ zarā Thahar
jis raah se uThā huuñ vahīñ baiTh jā.ūñgā
maiñ kārvāñ kī gard-e-safar huuñ zarā Thahar
ai shahsavār-e-husn mujhe rauñd kar na jā
vāmāñda misl-e-rāhguzar huuñ zarā Thahar
ai āftāb-e-husn mirī kyā bisāt hai
daryūza-gar huuñ nūr-e-qamar huuñ zarā Thahar
mauhūm sī umiid huuñ mujh se gurez kyā
apnī kisī duā kā asar huuñ zarā Thahar