zindagī āzār thī āzār hai tere baġhair
kār-e-sahl-e-marg bhī dushvār hai tere baġhair
kaam yuuñ aa kar ruke jaise kabhī chalte na the
umr-e-fānī vaqt-e-be-raftār hai tere baġhair
kyā batā.ūñ kis tarah ab kaT rahī hai zindagī
merī har har saañs ik talvār hai tere baġhair
terā ġham thā aur tujh hī se bayāñ kartā thā maiñ
kaun sā ġham qābil-e-iz.hār hai tere baġhair
mere ġham kī talḳhiyoñ kā is se kuchh andāza kar
mujh ko mai-noshī se bhī inkār hai tere baġhair