tah-e-dāmāñ charāġh raushan hai
ziist merī baqā kā bachpan hai
shikva-e-zulm-o-jaur kis se kareñ
aadmī aadmī kā dushman hai
ek alaav hai ye dahaktā huā
tumheñ jis par gumān-e-gulshan hai
phuñk rahā hai chaman chaman lekin
aap farmā rahe haiñ sāvan hai
kaun hastī ke silsile ko bujhā.e
ek se ek diip raushan hai
zindagī se kahāñ farār 'salām'
sīna-e-marg meñ bhī dhaḌkan hai