Ain Salam

na tirgi ke liye hun na raushni ke liye

Ain Salam

na tīrgī ke liye huuñ na raushnī ke liye
sitāra-e-saharī huuñ maiñ zindagī ke liye
ye kaun vaqt kī sūrat mujhe badaltā hai
ye kyā kisī ke liye kuchh huuñ kuchh kisī ke liye
sarāb-e-ḳhvāb kī ta.abīr jū-e-āb sahī
maiñ sochtā huuñ magar dasht-e-tishnagī ke liye
vo mutma.in huuñ gumāñ ko yaqīñ samajhtā huuñ
yaqīñ ki ḳhud nahīñ kuchh kam jo gumrahī ke liye
kahīñ vo merī tarah merā āshnā hī na ho
hazār ḳhvāb bunūñ maiñ jis ajnabī ke liye
vo āsmāñ ho ki sahrā vajūd ho ki adam
fazā banī hai ye kis sharh-e-ḳhāmushī ke liye
Top Urdushayar.com