Ain Salam

jalta raha wo umr-bhar apni hi aag mein

Ain Salam

jaltā rahā vo umr-bhar apnī hī aag meñ
tere laboñ kī aañch na thī jis ke bhaag meñ
chhoTī sī baat thī magar ik rog ban ga.ī
rāhat milāp hī meñ rahī hai na tyaag meñ
kaise kahūñ use ye dulhan hai bahār kī
phūloñ kā ḳhuuñ mahaktā hai jis ke suhāg meñ
vo husn ban ke gul kī tapish meñ samā gayā
hañs hañs ke jal gayā jo tire ġham kī aag meñ
kahne ko merā saaz hai lekin kise ḳhabar
kis kis kī dhun samā.ī hai ek ek raag meñ
ik daaġh ban ke dil meñ sulagtā hai ai 'salām'
vo phuul jis kā lams nahīñ apne bhaag meñ
Top Urdushayar.com