junūn-e-rañg ham-āhañgī-e-mazāq tumhī
binā-e-rañj tumhī vaj.h-e-ittifāq tumhī
tumhī ho raushnī-e-tab-e-kushtagān-e-hayāt
shab-e-siyāh alam meñ sirāj-e-tāq tumhī
ravāñ-davāñ nahīñ mujh meñ koī tumhāre sivā
tumhī ho manzar-e-mavvāj chashm-e-vāq tumhī
tumhī se hoñ to ye kyuuñ sochtā huuñ maiñ kyā huuñ
tumhī ki husn-e-jahāñ bhī ho husn-e-tāq tumhī
maiñ aa.ine kī tarah be-ḳhabar huuñ hairāñ huuñ
maiñ kaise boloñ ki raaqī tumhīñ ho raaq tumhī
ye ḳhair-o-shar meñ tanāsub tumhī se qaa.em hai
tumhī ho musbat-o-manfī ke sañg-e-hāq tumhī