Ain Salam

aarzuon ke dhaDakte shahr jal kar rah gae

Ain Salam

ārzūoñ ke dhaḌakte shahr jal kar rah ga.e
kaise kaise hashr ḳhāmoshī meñ Dhal kar rah ga.e
ḳhātir-e-ḳhasta kā ab koī nahīñ pursān-e-hāl
kitne dildārī ke unvān the badal kar rah ga.e
ab kahāñ ahd-e-vafā kī pāsdārī ab kahāñ
jo haqā.eq the vo afsānoñ meñ Dhal kar rah ga.e
ab kahāñ vo sāhiloñ se sair-e-tūfān-e-hayāt
ab to vo sāhil talātum meñ badal kar rah ga.e
hāsil-e-ġham yā ġham-e-hāsil mayassar kuchh nahīñ
zindagānī ke sabhī asbāb jal kar rah ga.e
haa.e vo ġham jo bayāñ kī had meñ aa sakte na the
qaid-o-ashk-o-āh se aage nikal kar rah ga.e
al-amāñ hālāt kī mahshar-ḳhirāmī al-amāñ
Dagmagā.e is qadar goyā sambhal kar rah ga.e
rah gayā huuñ ek maiñ tanhā hujūm-e-barq meñ
ham-navā saare chaman ke saath jal kar rah ga.e
ban to sakte the vo tūfān-e-qayāmat-ḳhez bhī
jo dhaḌakte valvale ashkoñ meñ Dhal kar rah ga.e
ek vo haiñ Dālte haiñ māh-o-anjum par kamand
aur ik ham haiñ ki ḳhvāboñ se bahal kar rah ga.e
jin ko hāsil thā zamāne meñ sukūn-e-iztirāb
apne hī ehsās ke sho.aloñ meñ jal kar rah ga.e
jin kī ḳhāmoshī thī mash.hūr-e-zamāna ai 'salām'
aaj un ke muñh se bhī shikve nikal kar rah ga.e
Top Urdushayar.com