Ain Salam

bigaD mein bhi banao hai aadmi ke liye

Ain Salam

bigāḌ meñ bhī banāo hai aadmī ke liye
ujaḌ rahā huuñ maiñ ik taaza zindagī ke liye
badal ga.e haiñ zamāne ke saath husn ke taur
kuchh aur chāhte ab rasm-e-āshiqī ke liye
ye soch kar ki ināyat kiyā huā hai tirā
duā na māñgī kabhī dard meñ kamī ke liye
mulāhiza ho ye īsār-e-phūl hañs hañs kar
ujaḌ rahā hai kalī kī shaguftagī ke liye
gumān tak meñ na thiiñ jibra.īl ke jo kabhī
vo rif.ateñ haiñ yaqīn aaj aadmī ke liye
pilā ke zahr hī be-gāna-e-do-ālam ko
taras gayā huuñ maiñ thoḌī sī be-ḳhudī ke liye
kuchh aur teġh-e-vafā zahr meñ bujhā.e jā
yahī hai āb-e-hayāt aaj zindagī ke liye
Top Urdushayar.com