rāt-din is tarah guzarte haiñ
ham na jiite haiñ aur na marte haiñ
log hairāñ hoñ is zamāne meñ
kaise hañs hañs ke ziist karte haiñ
koī jā kar ḳhizāñ se kah aa.e
phuul gulshan meñ phir nikharte haiñ
aap ko dekh kar ye sochtā huuñ
āsmāñ se bhī log utarte haiñ
ġham ke hāthoñ bigaḌ ga.e ham to
vo bhī hoñge ki jo sañvarte haiñ
rashk se naam tak nahīñ lete
dam magar aap hī kā bharte haiñ