dil-e-majrūh jab bhī ik na.ī karvaT badaltā hai
gul-e-har-zaḳhm se hañstā huā nashtar nikaltā hai
huā hai aur na hogā sard dast-e-jaur gulchīñ se
sharār-e-dil jo mauj-e-rañg-o-bū ban kar uchhaltā hai
yahāñ kuchh kam nahīñ dīvāngī se hosh kā da.avā
udhar sīna-sipar huuñ maiñ jidhar se tiir chaltā hai
maiñ vo ḳhāmosh bastī huuñ umīdoñ ke samundar meñ
ki jis kī ḳhāmushī kī tah meñ ik tūfān paltā hai
muqaddar ke likhe par mutma.in hone ko ho jā.ūñ
magar ye dard rah rah kar jo pahlū meñ machaltā hai
'salām' ik din pahuñch hī jā.eñge un ke bhī dāman tak
ye sho.ale jin kī garmī se mirā añg añg jaltā hai