ham se ruḳhsār vo lab bhuul ga.e
zindagī karne kā Dhab bhuul ga.e
rāt-din mahv rahā karte the
jaane kyā thī vo talab bhuul ga.e
aa gayā sar pe Dhaltā sūraj
raat ke shor-o-shaġhab bhuul ga.e
ranj-e-mahrūmī-e-dil yaad rahā
raunaq-e-bazm-e-tarab bhuul ga.e
naqsh-e-dīvār bane baiThe haiñ
yaad itnā hai ki sab bhuul ga.e
zindagī bigḌī to aisī bigḌī
jo bhī the rañj-o-ta.ab bhuul ga.e
dil meñ kyā kyā na the armān 'salām'
shukr sad shukr ki sab bhuul ga.e