Ain Salam

kitna hushiyar hua kitna wo farzana hua

Ain Salam

kitnā hushiyār huā kitnā vo farzāna huā
terī mastī-bharī āñkhoñ kā jo dīvāna huā
aah ye ālam-e-ġhurbat ye shab-e-tanhā.ī
ik qayāmat huī dhyān aise meñ terā na huā
ik jahāñ aaj bhī hai us ke tilismoñ meñ asiir
sab kā ho kar bhī jo ayyār kisī kā na huā
tujh ko apnāne kā yaarā thā na khone hī kā zarf
dil-e-hairāñ isī uljhāve meñ dīvāna huā
kaifiyat us kī judā.ī kī na pūchho yaaro
dil tahī ho ke bhī chhalkā huā paimāna huā
haa.e vo lutf-o-karam us ke sitam se pahle
kar ke begāna zamāne se jo begāna huā
roz-e-mahshar na banāyā shab-e-ġham ko ham ne
zikr terā hī bas afsāna dar afsāna huā
karb rāhat hai kabhī aur kabhī rāhat karb
ik muammā ye mizāj-e-dil-e-dīvāna huā
ek mahsūs qarābat kī vo ḳhushbu-e-badan
jis ko chhūne kā tasavvur meñ bhī yārāna huā
kaifiyat dard-e-tamannā kī vahī hai ki jo thī
terā iz.hār-e-vafā bhī dam-e-īsā na huā
jaane kis jān-e-bahārāñ kī lagan hai ki 'salām'
dil sā ma.amūra-e-vahshat kabhī sahrā na huā
Top Urdushayar.com