Tahir Azeem

ek anokhi rasm ko zinda rakha hai

Tahir Azeem

Makran, Balochistan, Pakistan

1978
ik anokhī rasm ko zinda rakhā hai
ḳhuun hī ne ḳhuun ko paspā rakhā hai
ab junūn-e-ḳhud-numā.ī meñ to ham ne
vahshatoñ kā ik darīcha vā rakhā hai
shahr kaise ab haqīqat-āshnā ho
āgahī par zaat kā pahra rakhā hai
tīrgī kī kyā ajab tarkīb hai ye
ab havā ke dosh par diivā rakhā hai
tum charāġhoñ ko bujhāne par tule ho
ham ne sūraj ko bhī ab apnā rakhā hai
tum hamāre ḳhuun kī qīmat na pūchho
is meñ apne zarf kā arsa rakhā hai
shahr kī is bhiiḌ meñ chal to rahā huuñ
zehn meñ par gaañv kā naqsha rakhā hai
ye 'azīm' apnā kamāl-e-zarf hai jo
dushmanoñ ke aib par parda rakhā hai
Top Urdushayar.com