maiñ us kī mohabbat se ik din bhī mukar jaatā
kuchh aur nahīñ hotā is dil se utar jaatā
jis shaam giraftārī qismat meñ mirī aa.ī
us shaam kī lazzat se maiñ aur bikhar jaatā
ḳhushbū ke ta.āqub ne zanjīr kiyā mujh ko
varna to yahāñ se maiñ chup-chāp guzar jaatā
āvāz samā.at tak pahuñchī hī nahīñ shāyad
vo varna tasallī ko kuchh der Thahar jaatā
zehnoñ ke marāsim the ik saath bhī ho jaate
ik raah agar koī dīvār meñ kar jaatā
tāsīr nahīñ rahtī alfāz kī bandish meñ
maiñ sach jo nahīñ kahtā lahje kā asar jaatā
ab tere bichhaḌne se ye baat khulī mujh par
to jaan agar hotā maiñ jaañ se guzar jaatā
dil ham ne 'azīm' apnā āseb-zada rakkhā
jo ḳhvāb janm letā vo ḳhauf se mar jaatā