Tahir Azeem

ek wahshat si dar aai hai aankhon mein

Tahir Azeem

Makran, Balochistan, Pakistan

1978
ik vahshat sī dar aa.ī hai āñkhoñ meñ
apnī sūrat dhundlā.ī hai āñkhoñ meñ
aaj chaman kā haal na pūchho ham-nafaso
aaj ḳhizāñ kī rut aa.ī hai āñkhoñ meñ
barsoñ pahle jis dariyā meñ utrā thā
ab tak us kī gahrā.ī hai āñkhoñ meñ
in bātoñ par mat jaanā jo aam huiiñ
dekho kitnī sachchā.ī hai āñkhoñ meñ
in meñ ab bhī harf-e-mohabbat bastā hai
isī liye to gahrā.ī hai āñkhoñ meñ
haath pakaḌ kar jis kā chalnā sīkhā hai
us ke naam kī bīnā.ī hai āñkhoñ meñ
dhuup 'azīm' ab phailī hai jo shiddat se
to saa.e kī ra.anā.ī hai āñkhoñ meñ
Top Urdushayar.com