Siraj Aurangabadi

sarw-e-gulshan par suKHan us qad ka baala ho gaya

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
sarv-e-gulshan par suḳhan us qad kā baalā ho gayā
har nihāl is sharm siiñ jañgal kā paalā ho gayā
aavtā hai ye bahā ho aañkh señ dāman talak
tifl-e-ashk is āj-kal meñ kyā jvālā ho gayā
jab siiñ us almās kī pahuñchī kā hai aañsū meñ aks
tab siiñ har tār-e-falak hīroñ kā maalā ho gayā
dil jigar kī phakaḌiyāñ aahoñ ke tāroñ meñ piro
baiTh kar dokān-e-ġham par phuul vaalā ho gayā
ashk-e-bārāñ aah bijlī ashk kī kaalī ghaTā
māh-rū ban kis tarah kā barshgālā ho gayā
baaġh meñ sarmā thā aur thī yād-e-dildār-e-do-rañg
mujh kuuñ har barg-e-gul-e-ra.anā doshālā ho gayā
niiñd siiñ khul ga.iiñ mirī āñkheñ so dekhā yaar kuuñ
yā añdhārā is qadar thā yā ujālā ho gayā
hijr kī maTh meñ tasavvur us ġhazālī chashm kā
ishq ke bairāgiyoñ ko mirg-chhālā ho gayā
bhar rahā hai bas ki dūd-e-āh merā ai 'sirāj'
āsmāñ jiyūñ parda-e-fānūs kaalā ho gayā
Top Urdushayar.com