sanam jab chīra-e-zar-tār bāñdhe
jhalak siiñ kūcha-o-bāzār bāñdhe
hazāroñ teġh-bandoñ kuuñ kare qatl
ḳham-e-abru kī jab talvār bāñdhe
jo dekhe ek-dam zāhid tirī zulf
gale meñ zohd kā zunnār bāñdhe
talab ke uqda-e-mushkil kuuñ khole
jo koshish kī kamar yakbār bāñdhe
jo kui ġham kā hisār-e-qalb chāhe
ġhubār-e-āh siiñ dīvār bāñdhe
jo dekhe gul-ruḳhoñ ko ko lā-ubālī
bajā hai gar lab-e-iz.hār bāñdhe
'sirāj' āñkheñ kiyā hai ġhair siiñ band
ki tā dil meñ ḳhayāl-e-yār bāñdhe