zindagī thaam liyā karte haiñ baḌh kar lamhe
vaqt aane pe badalte haiñ muqaddar lamhe
aa bhī jā tujh ko bulāte haiñ ye kah kar lamhe
phir na ā.eñge bahāroñ ke mo.attar lamhe
har ghaḌī ek sā mausam bhī kahāñ rahtā hai
haiñ kahīñ phuul se komal kahīñ patthar lamhe
sab meñ yaarī haiñ yahāñ dostī yaarī sukh dukh
kis ne dekhe haiñ yahāñ umr se baḌh kar lamhe
zindagī aaj bhī masrūf bahut hai lekin
ham chale aa.e tire paas churā kar lamhe
ek nā-chīz ko fankār banā dete haiñ
hāsil-e-umr huā karte haiñ dam-bhar lamhe