Ashok Mizaj Badr

hum log apni rah ki diwar ho gae

Ashok Mizaj Badr

Sagar, Madhya Pradesh, India

1975
ham log apnī raah kī dīvār ho ga.e
ya.anī ki maslahat meñ giraftār ho ga.e
ab to buland aur zarā hausla karo
patthar jo mel ke the vo dīvār ho ga.e
tūfāñ meñ ham ko chhoḌ ke jaane kā shukriya
ab apne haath paañv hī patvār ho ga.e
ghar ko girāne vaale siyāsī mizāj the
ġham meñ sharīk ho ke vo ġham-ḳhvār ho ga.e
parde kī baat parde pe khul kar jo aa ga.ī
bachche samay se pahle samajhdār ho ga.e
itnī zarā sī baat pe hairān hai mizāj
kāġhaz ke phuul kaise mahak-dār ho ga.e
Top Urdushayar.com