Ashok Mizaj Badr

kya KHabar thi ranjishen hi darmiyan rah jaengi

Ashok Mizaj Badr

Sagar, Madhya Pradesh, India

1975
kyā ḳhabar thī ranjisheñ hī darmiyāñ rah jā.eñgī
ham gale milte raheñge dūriyāñ rah jā.eñgī
ye nagar bhī kār-ḳhānoñ kā nagar ho jā.egā
in daraḳhtoñ kī jagah kuchh chimniyāñ rah jā.eñgī
dhīre dhīre shor sannāToñ meñ gum ho jā.egā
aur saḌkoñ par chamaktī batiyāñ rah jā.eñgī
raat jis dam apne kambal meñ chhupā legī hameñ
haath maltī aur ThiThurtī sardiyāñ rah jā.eñgī
ham ne sochā thā ki un kā haath hogā haath meñ
kyā ḳhabar thī haath meñ bas chiTThiyāñ rah jā.eñgī
ye tamāsha aur thoḌī der tak hogā abhī
phir yahāñ bas ḳhālī ḳhālī kursiyāñ rah jā.eñgī
aag thoḌī der ko bujh jā.egī lekin mizāj
raakh ke nīche dabī chiñgāriyāñ rah jā.eñgī
Top Urdushayar.com