kitnī sachchā.ī kis ḳhabar meñ hai
ye to aḳhbār kī nazar meñ hai
ghar meñ rahnā tumheñ nahīñ aatā
varna saarā sukūn ghar meñ hai
āsmāñ ek sā hai sab ke liye
farq terī mirī nazar meñ hai
zahar itnā to saañp meñ bhī nahīñ
zahar jitnā tumhāre Dar meñ hai
har qadam par bhale hoñ mai-ḳhāne
ek masjid bhī rahguzar meñ hai
maiñ jo chāhūñ to phūñk duuñ duniyā
aag itnī mire jigar meñ hai
merī ḳhvāhish hai chāñd chhūne kī
yojnā aaj bhī adhar meñ hai