Tanvir Dehlvi

wo sar-e-sham gae hijr ki hai raat shurua

Tanvir Dehlvi

vo sar-e-shām ga.e hijr kī hai raat shurūa
ashk jaarī haiñ huā mausam-e-barsāt shurūa
jazba-e-dil ne mire kuchh to karī hai tāsīr
phir hue un ke jo altāf-o-ināyāt shurūa
mujh ko dikhlāo na tum rañg-e-hinā us ko jalāo
bhejnī jis ne karī tum ko ye sauġhāt shurūa
kabhū vahshat kabhū shiddat kabhū ġham kī kasrat
ki jo pahle the hue phir vo hī hālāt shurūa
log nazroñ pe chaḌhāte haiñ ḳhudā ḳhair kare
phir na.e sar se hai kī us ne mulāqāt shurūa
hijr kī shab ye qayāmat hai kaTī ai 'tanvīr'
sub.h ho jaa.e karo aisī koī baat shurūa
Top Urdushayar.com