sar-e-kākul ko na o shoḳh-e-trahdār tarāsh
kaaT khā.egā ye uḌ kar na sar-e-mār tarāsh
ab to sar hote haiñ das biis ke har roz qalam
ḳhuub ye tū ne nikālī hai jafā-kār tarāsh
ḳhat to ye maiñ ne hī likkhā thā ḳhatāvār huuñ maiñ
haath qāsid ke liye tū ne sitamgār tarāsh
māh-e-nau chuum hī le us ko falak se gir kar
pheñk deve jo vo nāḳhun pas-e-dīvār tarāsh
tezī-e-teġh hai kyā chaal meñ us kāfir kī
saikḌoñ dil diye us ne dam-e-raftār tarāsh
qatl kartā hai to kar shauq se 'tanvīr' ko tū
rañj-āmez na bāteñ but-e-ayyār tarāsh