nukta-chīnī hai aur ārāstan-e-dāman hai
jāma-e-yār meñ anqā shikan-e-dāman hai
dāman-e-gul se bhī halkā vazan-e-dāman hai
is pe bhī baar use ek ek shikan-e-dāman hai
kisī bekas ke lahū ke haiñ ye chhīñTe qātil
gul-e-hasrat se jo phūlā chaman-e-dāman hai
us kā ye kahnā ki bas bas mirā dāman chhoḌo
naqsh siine pe vo dilkash suḳhan-e-dāman hai
tum ne pūchhā gul-e-ruḳhsār hai kyā dāman se
aaj kuchh aur bahār-e-chaman-e-dāman hai
garmī-e-husn sharar-rez hai muñh is se na Dhāñk
mujh ko ai jaañ ḳhatar-e-soḳhtan-e-dāman hai
muñh pe hai us ke jo dāmān-e-qabā-e-shabnam
ban gayā ā.īna-e-sāf tan-e-dāman hai
chakh chalo sab se un āñkhoñ kī qasam ai 'tanvīr'
ain taslīm-e-sar-andāḳhtan-e-dāman hai