jā na tū hasrat-e-dīdār abhī baaqī hai
ik ramaq mujh meñ dam-e-yār abhī baaqī hai
kyuuñ na dekhūñ unheñ nazroñ se ḳharīdār kī maiñ
husn kī garmī-e-bāzār abhī baaqī hai
sab hue hasrat-o-armāñ to shab-e-ġham meñ shahīd
rah gayā ik ye gunahgār abhī baaqī hai
mil ke bhī mujh se khaTakte rahe har baat pe vo
ḳhaar niklā ḳhalish-e-ḳhār abhī baaqī hai
uTh ke 'tanvīr' ke pahlū se na jaanā ghar ko
dopahar raat sitamgār abhī baaqī hai