dil ko kyā yaar ke paikān liye baiThe haiñ
sāhab-e-ḳhāna ko mehmān liye baiThe haiñ
shor kyūñkar na lab-e-zaḳhm-e-jigar se uTThe
sunte haiñ phir vo namak-dān liye baiThe haiñ
dam laboñ par hai yahāñ shauq-e-shahādat merā
ghar meñ vo ḳhanjar-e-burrān liye baiThe haiñ
sog ne un ke hazāroñ ko kiyā saudā.ī
vo abhī zulf-e-pareshāñ liye baiThe haiñ
dil-e-pur-dāġh se bahlāte haiñ jī ko us bin
ham ye pahlū meñ gulistān liye baiThe haiñ
uThte hī pahlū se us parda-nashīñ ke ham bhī
chashm par gosha-e-dāmān liye baiThe haiñ
kal to ka.abe ko chale hazrat-e-'tanvīr' the lo
aaj mai-noshī kā sāmān liye baiThe haiñ