haiñ shaam hī se ranj-o-qalaq jaan par ab to
ham ko nahīñ ummīd ki pakḌeñ sahar ab to
dīvāna koī ho.e to ho us kī balā se
apne hī parī-pan pe paḌī hai nazar ab to
saa.e se chahak jaate the yā phirte ho shab bhar
vallāh ki tum ho ga.e kitne niDar ab to
jaañ ko to ḳhabar bhī nahīñ uupar hī se uupar
dil le ga.ī is shoḳh kī nīchī nazar ab to
mai-ḳhāna-o-mai-e-ishq-e-butāñ aur ye sin-o-sāl
'tanvīr' ḳhudā kā bhī zarā ḳhauf kar ab to