na sunī par na sunī us ne dil-e-zār kī arz
kaun suntā hai bhalā aise gunahgār kī arz
chalo āhista ki hotī hai qayāmat barpā
fitna-e-hashr ne ye us se ka.ī baar kī arz
jumbish-e-lab hai dam-e-naz.a ye kuchh kahtā hai
sun to lo apne zarā mā.il-e-guftār kī arz
zikr-e-aġhyār se chhiḌkā kiye zaḳhmoñ pe namak
dam-e-kushtan na sunī kushta-e-talvār kī arz
mad.h-ḳhvāñ āl-e-ebā kā maiñ rahūñ ai 'tanvīr'
hai ye ḳhidmat meñ janāb-e-sah-e-abrār kī arz