ho na kuchh aur is āġhāz kā anjām kahīñ
sāqiyā lab se lagā de tū lab-e-jām kahīñ
vo dil-ārām jo pahlū meñ nahīñ hai apne
dil-e-betāb ko aatā nahīñ ārām kahīñ
sadma-hā-e-shab-e-hijrāñ se girā jaatā huuñ
ai tamannā-e-shab-e-vasl mujhe thaam kahīñ
shaam se hotī haiñ dil par jo balā.eñ nāzil
khol baiThe na huuñ vo zulf-e-siyah-fām kahīñ
le to luuñ bosa-e-ruḳh us kā ye Dar hai 'tanvīr'
ho na jaa.e vo ḳhafā shoḳh-e-gul-andāz kahīñ