Gopal Krishna Shafaq

roz raushan rahen haalat zaruri to nahin

Gopal Krishna Shafaq

Patiala, Punjab, India

1933
roz raushan raheñ hālāt zarūrī to nahīñ
chāñdnī raat ho har raat zarūrī to nahīñ
barq gir jaa.e agar ghar bhī jalā saktī hai
us ke pahlū meñ ho barsāt zarūrī to nahīñ
dāman-e-ishq meñ raḳhshāñ haiñ hazāroñ ḳhushiyāñ
ġham hī ho ishq kī sauġhāt zarūrī to nahīñ
mast āñkhoñ se bhī ham pyaas bujhā sakte haiñ
baḳhshish-e-mīr-e-ḳharābāt zarūrī to nahīñ
ham ko ronā hai to ro leñge kahīñ bhī jā kar
husn kī bazm-e-tilismāt zarūrī to nahīñ
un kī yādoñ se taḳhayyul ko sajā.e rakhiye
ho kabhī un se mulāqāt zarūrī to nahīñ
din badalte haiñ to rishte bhī badal jaate haiñ
umr bhar un kī ināyāt zarūrī to nahīñ
ai 'shafaq' aap hī kuchh sūrat-e-iz.hār kareñ
un kī jānib se chale baat zarūrī to nahīñ
Top Urdushayar.com