rah ga.ī luT kar bahār-e-zindagī
zindagī hai sogvār-e-zindagī
merī nazroñ meñ hasīñ dhokā hai ik
jis ko kahte haiñ bahār-e-zindagī
kulfateñ kuchh talḳhiyāñ kuchh hādse
ab yahī hai yādgār-e-zindagī
miT rahā ho jo kisī ke ishq meñ
phir kahāñ us ko qarār-e-zindagī
tirī ulfat terā ġham terā ḳhayāl
kuchh yahī hai kārobār-e-zindagī
apnā dil hī jab parāyā ho gayā
kaun ho ab rāz-dār-e-zindagī
tere dam se thī bahāroñ meñ bahār
ab kahāñ hai vo bahār-e-zindagī
sūkhe pattoñ se ye kahtī hai ḳhizāñ
yuuñ utartā hai ḳhumār-e-zindagī
apne dāman se havā dete raho
bujh na jaa.e ye sharār-e-zindagī
ai 'shafaq' kis ne bigāḌā hai ise
kaun hai parvardigār-e-zindagī