kyā batā.ūñ aaj vo mujh se judā kyūñkar huā
muddatoñ kā āshnā nā-āshnā kyūñkar huā
tere har naqsh-e-qadam par jis ne sajda kar diyā
terī nazroñ meñ bhalā vo bevafā kyūñkar huā
merī barbādī meñ jis kā haath thā vo fitna-gar
pūchhtā hai ab mujhe ye hādisa kyūñkar huā
jis ke hāthoñ ne jalāyā gulistāñ kā gulistāñ
is kā ghar bhī jal gayā to phir burā kyūñkar huā
aadmī to aadmī kā thā sharīk-e-ranj-o-ġham
munqata.a phir āj-kal ye silsilā kyūñkar huā
jis kī rahmat chand logoñ ke liye maḳhsūs ho
hogā kuchh logoñ kā vo sab kā ḳhudā kyūñkar huā
jab tirī nazreñ lagī haiñ kausar-o-tasnīm par
phir batā shaiḳh-e-haram tū pārsā kyūñkar huā
daar par laTkā diye jaate haiñ haq-go ai 'shafaq'
haq ko haq kahne kā tujh ko hauslā kyūñkar huā