kabhī tum mol lene ham kuuñ hañs hañs bhaav karte ho
kabhī tīr-e-nigāh-e-tund kā barsāv karte ho
kabhī tum sard karte ho diloñ kī aag garmī siiñ
kabhī tum sard-mehrī siiñ jhaTak kar baav karte ho
kabhī tum saaf karte ho mire dil kī kudūrat kuuñ
kabhī tum be-sabab tevrī chaḌhā kar taav karte ho
kabhī tum mom ho jaate ho jab maiñ garm hotā huuñ
kabhī maiñ sard hotā huuñ to tum bhaḌkāv karte ho
kabhī lā lā mujhe dete ho apne haat siiñ pyālā
kabhī tum shīsha-e-dil par mire pathrāv karte ho
kabhī tum dhuul uḌāte ho mirī ġhusse siiñ rūkhe ho
kabhī muñh par hayā kā lā araq chhiḌkāv karte ho
kabhī ḳhush ho ke karte ho 'sirāj' apne kī jāñ-baḳhshī
kabhī us ke bujhā dene kuuñ kyā kyā daav karte ho