milnā thā ittifāq bichhaḌnā nasīb thā
vo utnī duur ho gayā jitnā qarīb thā
maiñ us ko dekhne ko tarastī hī rah ga.ī
jis shaḳhs kī hathelī pe merā nasīb thā
bastī ke saare log hī ātish-parast the
ghar jal rahā thā aur samundar qarīb thā
mariyam kahāñ talāsh kare apne ḳhuun ko
har shaḳhs ke gale meñ nishān-e-salīb thā
dafnā diyā gayā mujhe chāñdī kī qabr meñ
maiñ jis ko chāhtī thī vo laḌkā ġharīb thā