kuchh din se zindagī mujhe pahchāntī nahīñ
yuuñ dekhtī hai jaise mujhe jāntī nahīñ
vo be-vafā jo raah meñ Takrā gayā kahīñ
kah dūñgī maiñ bhī saaf ki pahchāntī nahīñ
samjhāyā bār-hā ki bacho pyār-vyār se
lekin koī sahelī kahā māntī nahīñ
maiñ ne tujhe muaaf kiyā jā kahīñ bhī jā
maiñ buz-diloñ pe apnī kamāñ tāntī nahīñ
'anjum' pe hañs rahā hai to hañstā rahe jahāñ
maiñ be-vaqūfiyoñ kā burā māntī nahīñ