havas kī aañkh siiñ vo chehra-e-raushan na dekhoge
to chehra to kahāñ pan-gosha-e-dāman na dekhoge
chhupāte ho so bejā us jamāl-e-hairat-afzā kuuñ
mirī āñkhoñ siiñ dekhoge to phir darpan na dekhoge
agar us ḳhush-dahan ke lab pe dekho rañg missī kā
to phir zinhār barg-e-ġhuncha-e-sosan na dekhoge
agar dekhoge aks us ḳhat kā merī chashm-e-giryāñ meñ
lab-e-jū par bahār-e-sabza-e-gulshan na dekhoge
'sirāj' apne siiñ kyuuñ visvās hai ai sham.a-rū tum kuuñ
kisī āshiq kuuñ tum māshūq kā dushman na dekhoge