kyā ishq ke uljhe jaade haiñ manzil kā kahīñ par naam nahīñ
taqdīr hai aur tadbīr nahīñ āġhāz hai aur anjām nahīñ
ai ashk machaltī chiñgārī tū dard hai ḳhud paiġhām nahīñ
āñkhoñ meñ kabhī palkoñ pe kabhī tujh ko bhī kahīñ ārām nahīñ
dam bhar kī hañsī dam bhar kī ḳhushī ye bhī to dil-e-nākām nahīñ
is chaltī-phirtī duniyā meñ sab kuchh hai magar ārām nahīñ
ye pher mohabbat ke tauba ā.īn-e-jafā bhī aam nahīñ
qātil kī chhurī par ḳhuuñ to hai qātil pe magar ilzām nahīñ
qismat kī lakīreñ dekh to leñ tahrīr magar ye aam nahīñ
is ḳhat ko bhalā kyoñ kar samjheñ jis ḳhat meñ hamārā naam nahīñ
āñkhoñ ke gulābī Doroñ meñ ik kaif sā paayā jaatā hai
mai-ḳhvār-e-mohabbat hosh meñ aa saaqī kī nazar hai jaam nahīñ
duniyā ke bhare bāzāroñ meñ yuuñ suntā huuñ apnā afsāna
jaise ki ye merā zikr nahīñ jaise ki ye merā naam nahīñ
ye joshish-e-girya tanhā.ī ye pichhle pahar kā sannāTā
ashkoñ meñ mujhe kah lene do ye ḳhaas hai qissa aam nahīñ
nazroñ meñ tasādum dil meñ chubhan ik sham.a hai ik parvāna hai
donoñ hī meñ bāteñ hotī haiñ āvāz kā lekin naam nahīñ
bijlī kī chamak meñ sho.ale haiñ phūloñ kī hañsī meñ aañsū haiñ
ye 'fazl' vafā kī duniyā hai phir bhī to vafā kā naam nahīñ