Fazl Lakhnavi

ghabrae jitna maut ki dil-bastagi se hum

Fazl Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1913-1991
ghabrā.e jitnā maut kī dil-bastagī se ham
begāna utne hote ga.e zindagī se ham
kyūñki badal deñ ne.amat-e-ġham ko ḳhushī se ham
kis tarah maañg laa.eñ tabassum kisī se ham
kuchh aisī bāteñ siikh ga.e dostī se ham
karte nahīñ ab apnā ta.āruf kisī se ham
kah do shab-e-firāq ke tāroñ se Duub jaao
mānūs ab nahīñ haiñ kisī raushnī se ham
ḳhāmoshiyoñ ne qissa-e-ġham bhī bhulā diyā
ab baat bhī kareñ to kareñ kyā kisī se ham
ḳhud apne dil se ho ga.e begāna is tarah
jaise jhijak rahe hoñ kisī ajnabī se ham
āḳhir ko chalne vāloñ ne pahchān hī liyā
nikle jo sar jhukā.e tumhārī galī se ham
shāyad isī se ashk bhī āñkhoñ meñ aa ga.e
tārīkiyoñ ko dekh na leñ raushnī se ham
jis ne jalā diye haiñ tamannāoñ ke charāġh
aajiz se ho ga.e haiñ usī zindagī se ham
ab 'fazl' hasrateñ haiñ na fikr-o-nazar meñ zau
jaañ nazr kar rahe haiñ baḌī bekasī se ham
Top Urdushayar.com