Fazl Lakhnavi

qaid mein rahte hain jab tak bhi jiye jate hain

Fazl Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1913-1991
qaid meñ rahte haiñ jab tak bhī jiye jaate haiñ
halqe zanjīr ke phir toḌ diye jaate haiñ
raunaqeñ chāñd sitāroñ kī liye jaate haiñ
chāñdnī raat ko be-nūr kiye jaate haiñ
ye tabassum na sahī husn kī sauġhāt sahī
dard ko ek chamak aur diye jaate haiñ
ḳhaak hone pe bhī kam hotā nahīñ jazba-e-ishq
raushnī sham.a kī parvāne liye jaate haiñ
surḳh āñkhoñ se Tapak kar ye gulābī aañsū
mere dāman ko bhī rañgīn kiye jaate haiñ
Duub jaatī hai savere hī se sūraj kī kiran
jab sar-e-shām charāġhoñ ke diye jaate haiñ
jin ko duniyā meñ sambhalne kī ijāzat na milī
zindagī bhar ke vo armān liye jaate haiñ
zindagī merī to gintī hai garebāñ ke shigāf
aap kyoñ dāman-e-hastī ko siye jaate haiñ
sāqiyā riñd to mohtāt haiñ majbūr nahīñ
aks mai-ḳhāna kā āñkhoñ meñ liye jaate haiñ
'fazl' aa.iin mohabbat kā badalne ke liye
ahl-e-dil kis liye majbūr kiye jaate haiñ
Top Urdushayar.com