mahāz-e-ilm pe chhāyā huā añdherā hai
ḳhirad kī raah ko dīvāngī ne gherā hai
chaman kī ḳhaak meñ ibrat kī dāstāneñ haiñ
sisak rahī haiñ bahāreñ ḳhizāñ kā Derā hai
charāġh-e-dair-o-haram jal ga.e magar ab bhī
jidhar nigāh uThāo udhar añdherā hai
samundaroñ pe sitāroñ pe nazm-e-ālam par
na iḳhtiyār tumhārā hai aur na merā hai
hazār rañg bharī zindagī pe naaz na kar
qadam sambhal ke uThā maut kā añdherā hai
ye aate jaate hue ajnabī na samjheñge
gadā-nasīb batā de kidhar kā pherā hai
ye kachchī niiñd kī āñkheñ ye surmagīñ tevar
añdherī raat ke dāman meñ bhī saverā hai
qadam qadam pe vafā ke diye jalā ke chalo
sunā hai 'fazl' adam meñ bahut añdherā hai