āġhāz-e-jafā yaad na anjām-e-vafā yaad
jab sāmne tum aa.e to kuchh bhī na rahā yaad
ab yaad nasheman hai na bijlī kī jafā yaad
nikle the kuchh aise ki chaman tak na rahā yaad
jis ne mirī soī huī duniyā ko jagāyā
aa jaatī hai ab bhī vo mohabbat kī sadā yaad
ehsās sā hotā hai dhaḌakte hue dil ko
shāyad mujhe bhūlī huī duniyā ne kiyā yaad
jo dil meñ tamannā thā jo āñkhoñ meñ sharar thā
ab bhī hai us aañsū ke Tapakne kī sadā yaad
dīdār kī hasrat thī tamannā thī gila thā
jab hosh mujhe aayā to kuchh bhī na rahā yaad
vo ātish-e-ruḳhsār na vo sho.ala-o-sāġhar
kuchh bhī nahīñ maḳhmūr nigāhoñ ke sivā yaad
jis ne ki milā.e the sitāroñ se sitāre
ab tak hai us añgḌā.ī ke lene kī adā yaad
phūloñ meñ vo halkī sī kalī khil ga.ī jaise
ai 'fazl' vo andāz-e-tabassum hī rahā yaad