ziist ko qismat se kaam dekhiye kab tak rahe
chhalkā huā dil kā jaam dekhiye kab tak rahe
kāñpte hoñToñ pe hai baat abhī uljhī huī
qissa-e-ġham nā-tamām dekhiye kab tak rahe
nabz bhī chaltī huī dil bhī dhaḌaktā huā
ārzū-e-sub.h-o-shām dekhiye kab tak rahe
jazb-e-vafā nā-tamām zauq-e-vafā be-sabāt
lab pe mohabbat kā naam dekhiye kab tak rahe
ab to hai badlī huī sāqiyā terī nazar
riñd ke hāthoñ meñ jaam dekhiye kab tak rahe
rāh-e-talab se mirī ḳhud to zamāna hai duur
mujh se zamāne ko kaam dekhiye kab tak rahe
saañs kī raftār se hasrateñ baḌhtī huī
qāfila ye tez-gām dekhiye kab tak rahe
terī tajallī to hai dair-o-haram se judā
hasrat-e-dil nā-tamām dekhiye kab tak rahe
arz-o-tamannā meñ hai rabt-o-asar bāhamī
'fazl' hameñ un se kaam dekhiye kab tak rahe