Siraj Aurangabadi

dildar ki kashish ne aincha hai man hamara

Siraj Aurangabadi

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1712-1763
dildār kī kashish ne aiñchā hai man hamārā
hai ḳhaak is qadam kī shāyad vatan hamārā
ai dostān-e-jānī dil siiñ karo tavajjoh
tā-jān paas apne pahuñche badan hamārā
gar zindagī hai baaqī phir tum siiñ aa mileñge
dīdār āḳhirī hai jo hai maran hamārā
daryā-e-mudda.ā kā laa.e haiñ thaah jab siiñ
har buuñd ashk kā hai durr-e-adan hamārā
darkār nahīñ hai pahreñ bar meñ qabā-e-zīnat
ye bas hai ḳhāksārī ḳhākī baran hamārā
sab chhoḌ ḳhānumā kuuñ haiñ us kī justujū meñ
hai dasht aur bayābāñ bāġh-o-chaman hamārā
mānind-e-kohkan hai be-kal 'sirāj' kā dil
shāyad ki maan leve shīrīñ-suḳhan hamārā
Top Urdushayar.com