Jurat Qalandar Bakhsh

tasawwur bandhte hain us ka jab wahshat ke mare hum

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
tasavvur bāñdhte haiñ us kā jab vahshat ke maare ham
to phir karte haiñ aap hī aap kyā kyā kuchh ishāre ham
kahe hai yuuñ dil-e-muztar se us bin jān-e-ġham-dīda
chalo tum rafta rafta aate haiñ pīchhe tumhāre ham
ka.ī baar us ne dekhā aaj chashm-e-qahr se ham ko
sazā-vār-e-uqūbat to hue ai baḳht baare ham
na maanī dil ne apnī aur na ham ne baat nāseh kī
hameñ kah kah ke haarā vo use kah ke haare ham
vo jab ā.īna dekhe hai to kyā kyā muskurātā hai
samajh kar ye ki ya.anī haiñ qayāmat pyāre pyāre ham
milā lutf-e-suḳhan kyā ḳhaak ham ko us kī mahfil meñ
ki chup baiThe rahe juuñ naqsh-e-dīvār ik kināre ham
hue haiñ chāhne vaale tumhāre saikḌoñ paidā
ye sach hai jī ki kis gintī meñ haiñ yaañ ab bichāre ham
kisī mahvash ke ġham ne kar diyā nā-tāqat aisā hī
ki chhuTte dekhte haiñ akasr āñkhoñ aage taare ham
uThā kar aañkh to tum dekh lo yaañ koī dekhe hai
zarā qurbān hone do hameñ sadqe tumhāre ham
kareñ kyā aah aur kis se kaheñ ham apnī bechainī
kahīñ chain ab tire hāthoñ nahīñ paate haiñ pyāre ham
qarār ik jā nazar aatā nahīñ hai be-qarārī meñ
gul-e-bāzī kī sūrat phirte haiñ bas maare maare ham
hameñ kyā ḳhatra-e-jāñ hai ki ham haiñ naam ko 'jur.at'
na hoñ phir kyuuñ ki maidān-e-mohabbat meñ utāre ham
Top Urdushayar.com