Jurat Qalandar Bakhsh

yan us gali sa kab koi bustan hai dusra

Jurat Qalandar Bakhsh

Faizabad, Uttar pradesh, India

1748-1809
yaañ us galī sā kab koī bustāñ hai dūsrā
haañ kuchh jo hai to rauza-e-rizvāñ hai dūsrā
har dam ye do adū haiñ pa.e-jān-e-nā-tavāñ
ik dard-e-ishq hai ġham-e-hijrāñ hai dūsrā
hai turfa jān-o-dil kā dam-e-iztirāb haal
rokeñ jo ek ko to gurezāñ hai dūsrā
ā.īna jab vo dekhe to kahtī haiñ chitvaneñ
sach hai ki ham sā kab koī insāñ hai dūsrā
vo ruk ke uTh chalā to use kyūñki rokiye
ik dast hai ba-dil ba-garebāñ hai dūsrā
us ghar ke dar pe jab hue ham ḳhaak tab khulā
darvāza aane jaane ko aur yaañ hai dūsrā
kyā dil jigar kī us kī galī meñ kaheñ ḳhabar
ik mar gayā ik aan kā mehmāñ hai dūsrā
rahiye hamāre dil meñ ki laa.eq tumhāre kab
aisā makāñ ba-kishvar-e-daurāñ hai dūsrā
Tuk suniyo zamzame mire dil ke ki baaġh meñ
kab is tarah kā murġh-e-ḳhush-alhāñ hai dūsrā
hai turfa qismat apnī ki jis jā ho ek dost
vaañ dekhiye to jaan kā ḳhvāhāñ hai dūsrā
ya.anī nashist Thahrī kal us dar pe thī so haa.e
dekhā jo aaj jā ke to darbāñ hai dūsrā
yaktā hai do jahān meñ 'jur.at' alī kī zaat
aisā na koī yaañ na koī vaañ hai dūsrā
Top Urdushayar.com